UP Me 72,825 Shikshakon Ki Bharti Me khadi Hui Nai Pareshani

Friday, 29 November 2013

UP men parishdiya vidhyalayon men khali 72,825 shikshakon ki bharti ke liye nyayalay ki or se TET ki merit ke aadhar par bharti ke aadesh ke bad bhi pareshani kam hone ki imagessanbhavana nahi hai 2010-11 men  hui TET ke sabhi rikard police ne sil kar rakhe hai.


Bord ke pass is samay TET ka koi rikard nahi hai. Rikard ke abhav men besik shiksha parisad aur UP bord ko paresani ho sakti hai.


2010-11 men parisadiy vidhyalayon men shikshko ke khali pad bharne ke liye UP bord ko shikshak patrata pariksha (TET) karane ki jimmedari di gai thi. Is daoran parichharthiyon ne bord ke pass pratyavedan diya ki mulyankan sahi nahi hua hai.


Bord ne TET ke praman patron ka char bar sanshodhan kiya. Praman patron men herapheri sahit anya aaropon ke chalte purva nirdeshak ki giraptari ke sath bord anya adhikari janch ki jad men aaye the . Janch ke karan TET ke anko ka vivran hi bhara hai. In ankon ke satyapan ke liye bord aur besik shiksha parishad ke pass TET ka rikard hona chahiye. oh inke pass hai nahin.


Aese men  praman patron ka satyapan pura karna chunaoti hogi. Is bare men UP bord ki sachiv shakuntala yadav ka kahna hai ki rikard sil hone ke karan satyapan kaise hoga kuch nahi kaha ja sakta hai. unhone kaha ki is mamle men police hi sahi jankari de sakti hai !!!!



UP Me 72,825 Shikshakon Ki Bharti Me khadi Hui Nai Pareshani

No comments:

Post a Comment

 

Pages

Most Reading