Chhattisagarh me vidhan sabha chunavo ke liye aaj kadi suraksha ke bhich dusare aur antim charan ka matdan jari hai.
rajya me dussare charan me 19 jilon ki 72 vidhansabha sito ke liye matdan ho raha hai. is charan me kul 843 pratyashi maidan me hai.
Is charan me Chhattisagarh ke 9 mantriyo samet vidhan sabha adhyaksa dharam kaushik, vipaksa ke neta ravindra chaube, purva mantri mohammad akabar purva mukhya mantri ajit jogi ki patni renu jogi, unke bete amit jogi ki kismat danva par lagi.
Pradesh ke mukhya nirvachan adhikari ne bataya ki 19 jilo ki 72 vidhan sabha sito par mangalvar subah 8 baje se sham 5 baje tak matdan karaya jayega.
matdan ke liye kul 18,015 matdan kendra banaye gaye hai jishme 4,594 ko savedanshil, 1,398 ko ati savedanshil ghoshit kiya gaya hai.
Odisa, uttar pradesh avam jharkhand ki shima se jude ilako me naksala gatividhiyo ko dhyan rakhte huye suraksa ke pukhta intijam kiye gaye hai.
Isse pahle 11 navambar ko pahle charan ke matdan me 18 sito par vot dale gaye the !
Chhattisgarh me aakhiri daura ka matdan jari
No comments:
Post a Comment