Purvi uttar pradesh se chunav nahin ladenge modi:rajnath

Thursday, 14 November 2013

Bhajpa ke rastriya adhyachh rajnath sinha ne kaha ki is bar bhajpa prachnd bahumat ke sath kendra me sarkar banayengi. Jaha tak loksabha chunav me pratyashiyo ki bat hai to parti 15 janvari ke bad is par vichar karegi.


narendra modiUnhone ispast kiya ki purvanchal ki kisi bhi shit se Narendra modi ke ladne ki sanbhavna nahi hai.Guruvar ko vidhyanchal dham men mattha tekne aaye rajnath patrakaro se mukhtib the.


Unhone kaha ki kangresh,sapa aur bsapa tino aapash me mili hui hain.Tino ka aamjan se koi sarokar nahi hain.Uttar paradesh me sarkar aur kanun nam ki koi chij hi nahi rah gai hai.


Kangresh apni nakmyabi chipane ke liye sampradayikta ka havva khada karti hai Narendra modi se jode ak saval par bhajpa adhyachh ne kaha ki ak antar rastriya sanstha ne aaklan kiya hai ki yadi vha pradhan mantri bane to desh ki aarthik sthiti sudhregi.


Ak saval ke javab me unhone kaha ki aatankvadi ke mudde par kendra sarkar ka ravaeya lachr hai. Sarkar ko aantakvad ke viruddh vaisshvik mahoul tayar karne ki koshish karni chahiye.Tthosh karya yojna tayar kar uska samul nash karna chahiye .


Bhajpa adhyachh ne pradhn mantri ki chin yatra ko purnatya viphal btaya aur kaha ki bijing me chin ke pradhan mantri ke sath manmohan sinha ne jish bardar difens ko aapreshan agriment par hastachhar kiya hai,us par unhe ispastikaran dena chahiye, kyoki yha karar manmohan sinha ne sansad ko visvash me liye bina kiya hai.


agriment me aartikal 6 me pravadhan hai ki chin sena gast ke dauran yadi desh ki shima me pravesh kar jayegi to bhartiya sena usse piche nahi rahegi.Aese me to chin ladhakh tak kabja kar lega.


Laine of akchual na manne vale chin ke sath aese samjhote ki jarurat hi kya hai? yha pradhan mantri ko btana chahiye .


Unhone kaha ki arunachal pradesh ke logo ko chin aakhir natthi vija kyo deta hai? chin ke sath kisi bhi samjhaote se pahle yahi prashn utana chahiye anyatha hindustan bhi tibbat ke logo ko natthi vija jari kare!



Purvi uttar pradesh se chunav nahin ladenge modi:rajnath

No comments:

Post a Comment

 

Pages

Most Reading