Srilanka sarkar ke pass abhi bhi maoka hai : devid kaimaran

Sunday, 17 November 2013

Briten ke pradhan mantri devid kaimaran ne kaha hai ki unhone srilanka ke uttariy prant ki pratikatmak yatra is elake me rahne vale tamil alp sankhyao ki taraf dhyan dilane ke liye ki hai.shri-lanka-david-camroon-52873c0a46ecc_exl


Shukravar ko srilanka ki rajdhani kolambo me shuru hui rastramandal desho ke shashnadhyasho ki baitak chogam ke pahle srilanka ke grihyuddh me tamil alphsankhyao ke sath kiye gaye bartav ka mudda chhaya raha .


Britani pradhanmantri ne manav adhikaro ke ullaghan ke aaropo ke maddenajar is yatra ko radda karne ki mang ko najar andaj kar diya tha.


kaimaran ne srilankai adhikariyo se sabhi srilankaiyo ke sang udarta dikhane ki apil ki. Kaimaran ne kaha ki sacch kahne ki prakriya mel milap ki aavasyak hai.


Vidhivat janch


Kaimaran ne jor dekar kaha ki varsh 2009 me samapt huye grihyudh ke aakhiri charan ke dauran huye yudh apradho ki vidhivat janch honi chahiye.


Kaimaran varsh 1948 me srilanka ke aajad hone ke bad uttariya srilanka jane vale pahle antar rastriya neta hai.


Unhone japhna isthit ak pustkalay ka bhi daura kiya jis par sangghars ke dauran kai bar hamale huye aur kai bar use fir se bnaya gaya.


Kaimaran ne uttariya prant ke naye mukhyamantri avam purva nyayadhish CV vighneswaram se bhi mulakat ki vighneswar tamil nesnal alayans ke neta hai.


Devid kaimaran ke sath yatra kar rahe BBC ke rajnitik sampadak ne kaha britani pradhan mantri ka svagat karne valo me mahilaye hi pramukh thi jinka dava tha ki unke ristedar sanghrsh ke dauran gayab ho gaye.


Ye mahilaye britani adhikariyo ke hatho me apne parivarjano ki tasvire dene ko behad aatur thi.


Kaimaran ki is yatra ke dauran srilanka ki vartaman sarkar ke samarthako ne bhi varsh 1948 ke pahle ke britani shashn ke dauran kiye gaye shoshn ke khilaph pradarsan kiya. Kolambo vapas aane se pahle kaimaran ne rahat siviro ki bhi yatra ki.


Akhbar aur patrakar


Kaimaran uthayan samachar patra ke karyalay bhi gaye. Uthayan ke karyalay me is shal ki suruvat me aag laga di gai thi. Is akhbar ke patracharo par niyamit hamla bhi hote rahe hai.


Is mulakat ke bad kaimaran ne kaha divaro par lagi mare gaye patrakaro ki tasvire aur gayb huye patrakaro ki kahaniyo ki yad mere sath rahegi kaemp me mili yuva mahilao aur baccho ki chhavi bhi mujhe yad rahegi.


Kaimaran ne kaha ki srilanka sarkar ke pass manav adhikaro aur rajnitik adhikaro ke bare me karyavahi karne ka abhi mauka hai jisse antar rastriya samuday ko santust kiya ja sakta hai.


Kaimaran ne kaha is desh ke pass safal hone ka abhi bhi mauka hai kyoki yuddh samapt ho chuka hai charam panth khatma ho chuka hai ladai band ho chuki hai .


Devid kaimaran ki srilanka yatra se pahle srilanka sarkar ne un sujhao ke prati narajgi jatai thi jinme kaha gaya tha ki britani pradhan mantri tin dino tak chalne vali chogam baitak me srilanka ke rastrapati mahinda rajpasshe par manvadhikaro ke mudde par dabav banayenge


Ak srilankai mantri ne is hafte ki suruvat me kaha tha ki britani pradhan mantri ko is mudde par bolne ka koi adhikar nahi hai.


Is sammelan ka udhghatan rastramandal ki adhyachh mharani alijabeth dvitiya ka pratinidhitva kar rahe rajkumar chals ne shukravar ko kiya



Srilanka sarkar ke pass abhi bhi maoka hai : devid kaimaran

No comments:

Post a Comment

 

Pages

Most Reading