New Delhi men manch par pahunche amitab bachchn ne apni chir – parichit khas ada men maojud logon ka abhibhavadan kiya. Amitab bachchan pengvin ke varshik lekchar samaroga men bataor vakta tyagraj stediyam men pahunche the.
Apne bhashn ko samapt karne ke bad bachchn ne na kewal maojud logon ke savalon ke javb diye balki kai purane anubhav bhi sajha kiye shrotao ki mang par unhone apni pita ki khubsurat kavitayen bhi sunai. sahitya ko jindagi bta rahe bachchn ne apni aatmakatha likhne se inkar kar diya.
Apne yuvapan ki yad taja karte huye unhone kaha ki ak bar unhone apne jakar pucha ki unhone amitab ko paida kyo kiya tha. To pita dvara javab ke rup men likhi gai nai lik kavita ki panktiyan amitab bachchan ne shrotao ko sunai.
Jishmen kaha gaya tha ki harivansh ray ne ya unke bap dadaon ne to apne beton se to puchha nahin lekin amitab apne bete ko paida karne se pahle puchkar nai lik dalenge.
Apne bhashn men mahilao ki shakshrta ki dayniya sthiti par chinta vyakt kar rahe big bi ne is daoran pyaj aur tamatar ka udaharan diya lekin tabhi yad aaya aur bole nahi nahi delhi men dono hi bahut mahange hai.
Big bi ne ladkiyo ke liye ak school kholne ki bhi ghoshna ki. Mahool ko behad khushmijaj banate huye bachchn ne amar akhbar athani film ka ak behad lokpriya dayalang bhi bola. Unhone kavita madhushala bhi sunai. Is daoran unki beti sweta nanda, aur patrakar rajdip sardesai maojud rahe !!!!!!
Jab Amitab Ne PaPa Se Puchha Mujhe Paida Kyon Kiya
No comments:
Post a Comment