Yah patni Anjali hi thi, jinhone sachin ko unke lambe kaeriyar ke dauran unhe ghar ki har chinta se dur rakha. Sayad yahi karan tha ki vidai ke bela par sachin ne apni patni ko unki saphalta ka bahut bada istambh bataya.
Lekin patni Anjali ko yah chinta satani lagane lagi hai ki itne varsh tak cricket ke liye jine ke bad sachin iske bina kaese rahenge. Anjali ki chinta yah hai ki vaha cricket ko is kadar jite hai ki iske bina unki kalpana karna muskil hai.
Sacchai yaha hai ki sachin ke bina cricket ki kalpana to ki ja sakti hai, lekin cricket ke bina sachin ke bare me socha bhi nahi ja sakta hai.
anjali yah bhi batati hai ki jab vaha lahali me hariyana ke khilaph apna aakhri ranaji trafi maich khelne ke liye the us dauran unhone pich ki mitti ko mathe par lagate dekha tha.
Jab vaha ghar par aaye to unhone is bare me unse pucha. unhone yahi kaha ki kya unhone yaha bat notis ki thi. darasal yah unka is khel ke prati pyar hai.
Idhar vankhede me sachin tendulkar pahle khud roye fir unki patni anjali royi beti sara bhi bhavuk ho uti. arjun ne maa ko sanbhala aur iske bad to pura vankhede sachin ki vidai aur unke bhasan par nam ho uta.
Mauka hi aesa ban pada tha. jis master blaster ka mahanayak banane me jinka yogdan tha bas sachin unhi ke prati aabhar vyakt kar rahe the.
Aur dil se nikal rahi yahi bhavnao ne saurav ganguli, V V S lakshaman samet sabhi ko bhavuk kar diya yaha tak bharat sarkar bhi unke svarnim kaeriyar ke aage natmastak ho gai.
Pita, maa, patni, bhai -bahan, beti-beta, shash- shasur, koch ramakant aachrekar, aanti, purane aur naye dost, rahul, dravid , saurav ganguli, V VS lakshaman, anil kubale ke sath bhartiya tim, BCCI, MCA, phijiyo, doctor, niji maenejar, mark maskrenhas, midiya aur yaha tak unke prashnshak sachin ne sabhi ka dil se aabhar vyakt kiya.
In sabhi ke bad jab sabhi jane ki tayari the tabhi sachin achanak akele pich ki or bade. pich par pahuchkar unhone dono hatho se ise chukar naman kiya aur iske mitti apne mathe par laga li. yaha us 22 gaj ki patti ke liye naman tha jisne unhe etihas purush bnaya.
yaha aesa mauka tha jaha sachin ki aankhe fir bhar aai thi. sachin jate jate sabhi ka shukriya kar rula gaye. yahi nahi jiska name unki suchi me nahi tha uske liye unhone mafi bhi mangi.
Kam bolne vale sachin ne pure 21 minat tak chali apni ispich se sabhi chuppi sadhne par majbur kar diya. vah amuman maich ke bad turant khali ho jane vale khachakhach bhare vankhede ka chakkar lagana bhi nahi bhule.
Khud kaptan mahendra shinha dhoni aur bhavisya ki dharohar virat kohli ne unhe kandhe par baitaya aur vah tiranga lahrate huye yahi kaha rahe the dekh lo ab is saphed jarsi me dobara nahi dikhai dunga.
Bad me shikhar dhvan, murli vijay aur mohhamad sami aur ak bar fir virat ne utaya |
Anjali ko bas ak hi chinta, cricket bina kaese rahenge shachin
No comments:
Post a Comment