Bhartiya risarv bank (RBI) ke governer Raghuram rajan ka kahna hai ki earthvyavastha ki sthiti niyantran me hai. isliye rupay ke girne se durne ki jarurat nahi hai.
RBI ki nazar
Khudra mahangai badhne aur tel kimto ke is par padte asar par riser bank ki nazar hai aur maudrik niti ke nirdharan me in baato ka dhyan rakha jayega. Bazar me dikh rahi asthirta aur videshi sansthagat niveshkon (FII) dvara gharelu bazar se rakam nikale jaane ki aasanka ko lekar bhi bharosha dilaya ki isse koi sankat paida nahi hoga.
RBI governer ne ummid jatai ki chalu vitt varsh me chalu khaate ka ghata (kaid) simat kar desh ke sakal gharelu utpad (GDP) ke teen fisadi se niche aa jayega. yah 56 arab dolor ke karib rahega
Unhone kaha ki achchhe maansun , niryaat me badhotri aur urzaa (Pover) shektra me sudhar dusri 6mahi me desh ki aarthik badhotri dar ko badhayenge.Ishke alava banking tantra me nakdi badhane ke liye RBI dvara somvar ko open market opration (OMO) ke jariye 8,000 coror rupay dalne ki ghoshna bhi ki.
Rupay ke girne se ghabraiye nahi, RBI governer ka bharosa
No comments:
Post a Comment