Doctor talwar dampati apni jis ikalauti beti aarushi ke liye insaph mang rahe the uski hatya ke doshi ve khud hi paye gaye. unhe nepali mul ke apne naukar hemraj ki hatya ka bhi doshi paya gaya. desh duniya ka dhyan khichne aur hal ke itihash ke sabse chrchit avam kautuhal paida karne vale is mamle me somvar ko gajiyabad ki visesh CBI adalat usi natije par pahuchi jo sade panch varsh pahale 14 varsh ki aarushi ki hatya ke bad se hi kai logo ke man me umad -ghumad raha tha visesh CBI jaj syam lal ne danto ke docyor rajesh talwar aur nupur talwar ko IPC ki dhara 302/34 aur 201 ( shachhya chipane ) ka doshi karar diya.
Doctor rajesh ko IPC ki dhara 203 ( jhutti FIR darj karakar police ko gumrah karne) ka bhi doshi mana gaya. 204 pej ke apne phaishle me jaj ne rajesh- nupur ke khilaph kattor tippaniya karte huye yaha tak kaha ki talwar danpatti ne apni beti ki hatya kar na kewal kanun ka ullaghan kiya balki dharm se bhi khilvad kiya. rajesh – nupur ki saja ka alan mangalvar ko kiya jayega. phaishla ke bad doctor danpatti ko hirashat me lekar gajiyabad ki dashna jel bhej diya gaya.
Delhi se sate noyeda ke jalvayu vihar ke L-32 flat me 15 mai 2008 ko der rat delhi pablic school ki 9 vi ki student aarushi ki hatya uske janmdin (24 mai ) se matra ak hapte pahale kar di gai thi us rat ghar me sirf vah uske mata -pita aur naukar hemraj hi the uski hatya ke agle hi din hemraj ka sav bhi ghar ki chhat par paya gaya jabki doctor danpatti us par hi hatya kar bhag jane ka sandeh jata rahe the noyeda police ne apni prarambhik janch me talwar danpatti par hi hatya ka shak jataya bad me shurkhiyo me chha gaye is mamle ki janch CBI ko shaup di gai.
Janch ajensi ne bhi kafi chhanbin ki lekin thosh sabuto ke abhav me usne 29 disambar 2010 ko klojar riport laga di. Is par doctor talwar ne mamle ki janch naye sire se karane ki mang ki. Is dauran adalat parisar me un par hamla bhi hua. visesh CBI adalat ne CBI ko klojar riport ko hi aaroppatra banate huye fir se mamle ki janch karne ka apratyashit aadesh diya. CBI is natije par pahuchi ki doctor rajesh apni beti ko 45 varshiya hemraj ke sath aapattijanak stithime dekhkar aapa kho baithe unhone golf stik se us par var kiya jo aarushi ko laga aur vaha mar gai iske bad unhone patni ke sath mil kar hemraj ko bhi tikane lagaya aur uski lash chhat par chipa di.
Karib 18 mahine tak chali sunvai ke bad is mamle ka phaishla janne ko lekar subah se hi CBI adalat ke bahar midiyakarmiyo adhivaktao aur aam logo ka jmavada tha talwar danpatti ko subah 10 baje hi kadi suraksha ke bhich gajiyabad laya gaya aur ak hotal me ttaharaya gaya. dono ko midiya se dur rakha dopahar bad unhe piche ke raste se adalat le jaya gaya. adalat parisar me suraksha ke kade prabandh kiye gaye the aur midiya karmiyo ke parishar me pravesh par pabandi laga di gai thi.
Phaishla sunte hi ro pade doctor dampati
Dopahar 3 baje jaise hi phaishla aaya bench par gumsum baithe talwar dampati rone lage. sayad unhe aese phaishle ka aabhash tha kyoki kuch hi samay bad unki or se midiya ko ak likhit bayan jari kiya gaya. Isme kaha gaya tha ki unhone jo gunah kiya hi nahi uske liye adalat ne doshi thahara diya. Vaha phaishle se puri taraha ashntust hai. beti ko nyaya dilane ki mang jari rakhte huye ve phaishle ke khilaph high kort jayenge. unke ristedaro aur vakilo ne bhi phaishle se ashhamati jatai. rajesh talwar ki bhai ki patni ne kaha ki CBI ki pratistta banaye rakhne ke liye sacchai ko jhut ki parto me chipa diya gaya.
Ho sakti hai umra kaid ya phansi
Doctor dampati ko kam se kam ajivan karavash aur adhiktam phansi ki saja sunai ja sakti hai. visesh adalat ne dono ko IPC ki dhara 302/34 ( ak maksad se hatya karna ) /201 (shakshya chupana) ke tahat doshi karar diya hai. varisth kanun vido ke mutabik in dono dharao se kam se kam ajivan karavash ki saja milti hai yadi mamle ko adalat viraltam sreni me manti hai to doshiyo ko phansi ki saja milegi. Iske alava farji FIR mamle me doctor rajesh ko do varsh tak ki saja mil sakti hai. Iske alava jurmana lagane me adalat apne vivek ka estemal karti hai !!!
Aarushi Ke Mammi-Papa Hi Nikle Hatyare
No comments:
Post a Comment