Hoki india liga ke dushre shnskaran ke liye khiladiyo par ummid se badkar paisa barsa.
9 ashiya kap me is varsh bhartiya tim ke liye padarpan karne vale farvard ramandip sinha ne boli ke mamle me star bhartiya midfildar sardar sinha ko bhi piche chod diya hai.
Sardar ko jaha khuli boli me 78 hajar danlar lagbhag 48 lakh rupaye me kharida gaya tha vahi ramandip ko UP vijadarsh ne 81 hajar dolar ( lagbhag 51 lakh rupaye ) ki band lifafe ki boli me kharida.
Yahi nayi indiayan hoki fendreshn ki word hoki sirija me khelne vale khiladiyo ke liye bhi HIL ke darvaje khul gaye hai is sirij me khelne vale nami farword prabhjot sinha ko mumbai maijisiyansh ne 46 hajar dolar ( lagbhag 28 lakh rupaye ) me kharida.
Hoki india ke mukhya sachiva narendar batra ke mutabik khuli boli ki jagah is bar band boli rakhi gai jisme liga ki chhatthi tim kalinga lansharsh bhi samil hui.
Is tim ki koching ki kaman bhartiya tim ke austreliyai koch teri valsh ke jimme hai jab pichle varsh dilli vevraidarsh ko koching dene vale AK banshal unke sahayak honge.
Delli ki koching kaman ab sendrik dishuja ke hatho me hogi kalinga ne is bar boli ke dauran apni 24 shadasyo ki tim puri kar li. Usne nyujilaind ke midfildar rayan aarkibaild ko 71 hajar ( lagbhag 44 lakh rupaye ) va austreliyai difendar kil braun ko 55 hajar dolar ( lagbhag 34 lakh rupaye ) me kharida.
WSH me khelne ke chalte pratibandhit rahe khiladi bhi phayede me rahe . draig flikar gurjidar sinha ko mumbai maijisiyansh ne 56 hajar ( lagbhag 34 lakh rupaye ) farword VS vinay ravipal ko 40-40 hajar dolar ( lagbhag 24 lakh rupaye ) me kharida.
Lekin mumbai ne apshi treding me apne mukhya khiladi sandip sinha ko JP panjab variyarsh ko de diya hai.
Janha yaha boli WSH ke khiladiyo ke liye phayada ka shauda rahi vahi purani dhurandhar rajpal sinha dipak thakur arjun halappa me kisi bhi tim ne ruchi nahi dikhai. Is boli me kul 154 khiladi samil the lekin sirf 49 ko kharida ja shaka. inme 28 bhartiya va 21 videshi khiladi rahe in par sabhi frenchaijiyo ne 1.37 miliyan dolar ( lagbhag 8 karod 49 hajar rupaye ) ki rashi kharch ki.
Rik charlshvarth nahi honge mumbai ke koch
Rik charshvarth ko ak bar fir bharat rash nahi aaya hai Rik ne bhartiya tim ke sath bhi apna karyakal pura nahi kiya tha.
Vivado ke chalte unka shai ne bhich me hi anubandh samapt kar diya tha pichle varsh HIL me vaha mumbai maijisiyansh ke koch the. lekin is bar mumbai ne unke sthan par MK kaoshik ko tim ki kaman shaup di hai.
Hnalaki narindar batra ne yaha khulasha nahi kiya ki mumbai ne unhe hataya hai ya fir vaha khud nahi aaye hai.
Dach khiladiyo par shanshya
HIL me samil nidarlaind ke hoki khiladiyo ke bhag lene par ab tak shanshya bna hua hai batra ke mutabik khiladiyo aur dach hoki fedreshn ka aapshi vivad chal raha hai.
ager in khiladiyo ko unki fedreshan se liga me khelne ki anumati nahi milti hai to unke sthan par frechaijiyo ko dushre khiladi anubandhit karne ki chut di jayegi !
Hoki liga ke sabase mahange khiladi bane ramandip sinha
No comments:
Post a Comment