Aarushi-hemraj mardar mistri ke khulase ke sath hi uske sath chale aa rahe kai raj fash ho gaye.
CBI visesh nyayadhish S. lal ke 208 pej ke phaishle ne un sawalon ko benakab kiya, jo na kewal aam janta ke dimag me ghumad rahe the balki police CBI aur diphensh bhi inhi raj par lagatar apni apni dalil pesh karte chale aa rahe the.
Aam vyakti bhi is mistri par apne-apne tark pesh karte the. Har koi sirf kayash lagakar apni bat rakhta tha. magar bad me apni hi dalil aur tark ki satyata men khud ulajhkar raha jata tha.
Har koi yaha sach janna chahta tha ki aakhir katla vali rat noada jalvayu vihar me sector-25 ke flait sankhya L -32 men hua kya tha. CBI kort ka phaishla aane ke bad logo ko apne uljhe huye sawalo ka javab bhi mil gaya hai.
Pura mamla rep se hi sanbandhit
Katla ki rat aarushi ke sath rep ki bat abhi tak espast nahi thi. Halanki CBI suru se hi yaha bat kaha rahi thi ki pura mamla rep se hi sabandhit hai . CBI kort men purva CO KK gautam ne bayan diya tha ki unke pass doctor sushil chaudhri ka shifarish phon aaya tha.
Sushil ka kahna tha ki post martam riport me aarushi ke sath rep ki bat na aane paye. gavah ke anushar sushil se aesa kahne ke liye rajesh talwar ke bhai dinesh talwar ne kaha tha. ab kort ne apne phaishle me is bat ko mana tha ki aarushi ke sath rep hua tha.
Aakhir kyo ki gai hatyayen ?
Aarushi -Hemraj ki hatyayen aakhir hui kyon. Dono hatyao ka uddesya kya tha. Is tarah ke saval bhi logo ke dimag me chla aa raha tha. har koi is bat ka janna chah raha tha ki aakhir dono ke hatya ke uddesya kya tha. CBI kort ne apne phaishle me is uddesya ko khulasha kiya hai. kort ne espast kiya hai ki Aarushi-Hemraj ko aapattijanak halat me dekhkar hi talwar dampatti ne unki hatya ki.
Gold estik aur sharjikal blaed se hi hatyayen
Police aur CBI ke bich dabal mardar ko lekar hathiyar par bhi akray nahi ban payi thi noada police ka manna tha ki is hatya men dhardar chaku ya hathauda prayukt kiya gaya hai jabki CBI ne janch hath me aate hi police ki thyori ko pui tarah se nakar diya tha.
CBI hatya me gold estik , sharjikal blaed aur khukhri ke prayukt hone ki bat kahi thi. Ab kort ne shaf kar diya hai ki Aarushi hemraj ki hatya me gold estik aur sharjikal blaed ka prayog hua. kort ne apne phaishle me amsh ke 7 doctoro ki us riport ko bhi nakar diya hai jishme dono hatyayen khukhri se kiye jane ki bat kahi gai thi.
Rajesh talwar ne pi vhiski
Aarushi – Hemraj ka mardar karne ke bad rajesh talwar ne apni ghabrahat kam karne ke liye pahale vhiski ,vain biyar aur shaft drink pi. kort ne apne phaishle men bat ka bhi jukra kiya hai. kort ka manna hai ki 2-2 hatyao ke bad rajesh talwar kafi ghabra gaya tha.
Apni isi ghabrahat kam karne ke liye usne ghar sarab biyar aur shaft drink ka sevan kiya. ghatnaesthal se baramad hui 4 botlo ke aadhar par kort ne yah tippani ki hai !!!!
Kort Ne Mana Aarushi Ke Sath Hua Tha Rep
No comments:
Post a Comment