Chin chand par manavrahit rovar mishn bhejne ki tayari kar raha hai. Adhikariyo ke mutabik yah khoji mishn agle mahin bheja jayega.
Is mishn ka nam yutu ya jed raibit rakha gaya hai. chini lok kathao men is nam ka charitra chandrama par nivash karta hai.
Hal ke kuch varsho men chin ke antriksh karyakram ne ullekhniya pragatiya ki hai.
Isi varsh jun men chin ke teen antariksh yatriyon ne dharti ki kaksha me 15 din gujare the aur unhone apne antarikshyan ko antariksh prayogshala me dank kiya tha.
Chin ne 2007 men ak manavrahit antariksh yan bhi chandrama ki kaksha me bheja tha.
Be of renboj
Yah antarikshyan 16 mahino tak chandrama ki kaksha men raha aur bad me ise chandrama ki satah se takrakar nast kar diya gaya.
Chand par bheje jane vale rovar mishan ki ghoshna isi varsh agast men ki gai thi abhi tak iske lanch kiye jane ki nirdharit tithi ki ghoshna nahin hui hai lekin adhikariyon ka kahna hai ki yah mishn dishmbar ke suruvati hapte men lanch kiya ja sakta hai.
Yadi sab kuch yojna ke mutabik chla to yah mishn madhya dishmbar tak chandrama par pahuch jayega rovar ko chandrama ki satah par pahuchane ke liye ak laiding yan ka estemal kiya jayega. Yah rovar teen mahino tak chandrama ki satah ke be of renboj shetra ka adhyayan karega.
rastriya gaorav
Is rovar abhiyan ka namkaran ak online voting me kai lakh logo ne hissa liya tha.
sena samarthit antariksh abhiyan ko chin me rastriya gaorav mana ja raha hai.
Chin antariksh men manav bhejne men kamyabi hashil karne vale visva ke teen desho men shamil hai. Chin ke alava amrika aur rush ne yah uplabdi hashil ki hai !!!!!
Ab Chand Par Chin Ki Najar
No comments:
Post a Comment