Tim India Ho Gai Besahara

Tuesday, 10 December 2013

BCCI ne tim india ke liye naya spansar dund liya hai. 49 karod ka ghata sahkar BCCI ne team-india-527522932a8ac_exlsahara grop ki davedari ko thukrate huye ak naye grop ko spansarship de diya hai.


Star india bhartiya cricket tim ki nai spansar hogi use yah spansarship 4 varsh ke liye mili hai aur yah karar 1 janvari 2014 se shuru hoga jo 31 march 2017 tak chalega.


Bhartiya cricket niyantran bord (BCCI) koi kam kare aur usme vivad ki gunjais na ho aesa ho hi nahi sakta. Magar hairani ki bat to ye hai ki is bar uske kam se sirf vivad hi nahi hua hai balki khud bord ko 49 karod rupaye ka ghata utana pada hai.


 12 varsh sahara ka raha sath


Hanlaki BCCI ne 12 varsh se tim india ki taital spansar rahi sahara india ko boli ke liye ayogya thahrakar tim ki spansarship janvari 2014 se march 2017 tak tin varsh ke liye star india ko de di hai.


Is taraha tim india ke maicho ke prasaran sirij taital aur tim prayojan ke adhikar ab star india ke pass aa gaye hai.


Chaokane vali bat ye hai ki jahan sahara india ne iske liye 252 karod rupaye ki peshkash ki thi vahin star ko yah anubandh 49 karod ka ghata sahkar 203 karod rupaye men de diya gaya.


Bord ki dabangai itni ki usne sahara ka anubandh raddh karne ki vajah ka khulasa karne se bhi inkar kar diya hai. Tim india ka taital spansar banne ke liye 7 companiyan hod men thi lekin somvar tak keval do hi davedar sahara aur star hod men rahe.


Karar rashi ka khulasa nahin 


Star ke sath bord ke karar ki rashi ka khulasa nahin kiya gaya hai lekin pta chala hai ki bord dvara aayojit pratyek maich ke liye yaha rashi 1.92 karod aur ICC ke pratyek maich ke liye 61 lakh rupaye hogi.


Vahin sahara ne bord ke maich ke liye 2.35 karod aur ICC ke maich ke liye 91 lakh ki peshkash ki thi.


Star aur malti scrin midiya ke pahle se hi BCCI ke sambandh hai star ke pass march 2018 tak tim india ke antar rastriya maich ke prasaran ka adhikar hai aur vah march 2014 tak tim ke sabhi gharelu maicho ka sirij spansar bhi hai.


malti scrin midiya ke pass IPL ke prasaran ka adhikar hai jabki UB grop ke pass IPL tim ranyal chailenjars bangluru ka malikana hak hai !!!!!!!



Tim India Ho Gai Besahara

No comments:

Post a Comment

 

Pages

Most Reading