Banglur ke ATM men mahila par huye hamle ke bad ab banko ke upar suraksha badane ka dabav badta ja raha hai.
Isi ke tahat bhartiya rijarva bank se bankon ne kaha hai ki unhe suraksha ke kharch ko uttane ke liye grahakon se li jane vali phish men badotariya ki anumati di jaye.
Sutron ke anusar bankon ne RBI ke samne yah prastav rakha hai ki grahakon ko milne vali muft tranjeksion ki sima ko 5 se ghta kar 3 kar diya jay. Iske alava dusre tranjeksion par bhi phish badane ki anumati mile.
Bankon ke anusar yadi unhe gard rakhne ki anivaryata aur ATM ke bahar CCTV camere jaesi suvidhayen deni hai, to unki lagat badegi. jise dekhte huye grahakon ke trajaiksion par liye jane vale shulk men badotariya ki jaye.
ATM tranjaiksion ki phish men badotariya par antim phaishla bhartiya rijarva bank ko karna hai !!!!!!!
Ab Desh Bhar Men ATM Yuj Karna Hoga Mahanga
No comments:
Post a Comment