Dakshin afrika ke purva rastrapati nelson mandela ka nidhan ho gaya hai. ve 95 varsh ke the. Sitambar men aspatal se chhutti milne ke bad unka ghar par ilaj kiya ja raha tha.
Nelson mandela duniya ke behatrin rajnetaon men shumar kiye jate the. unhone dakshin afrika men rangbhedi sarkar ke jagah ek loktantrik bahunasli sarkar banane ke liye lamba sangharsh kiya aur iske liye ve 27 varsh tak jel men rahe.
Desh ke pahle kale rastrapati ka pad sanbhalte huye unhone kai anya sangharshon men bhi shanti bahal karvane men agrani bhumika nibhai unhe 1993 men nobel shanti puruskar se bhi sammanit kiya gaya.
Kho diya mahan beta
Dakshin afrika ke rastrapati jaikab juma ne desh ke rastriya telivision chainal par ek bayan men kaha hamare rastra ne apne sabse mahan bete ko kho diya hai.
Unhone kaha dakshin afrika ke sathiyon nelson mandela ne hamen akjut kiya aur ham sab sath mil kar unhe vidai denge. tab tak hamara rastriya dhavaj jhuka rahega.
Mandela ke nidhan par duniyabhar ke maojuda aur bhutpurv netaon ne shok vyant karte huye unhe apne shradha suman arpit kiye hai.
1918 men hua janm
Nelson mandela ka janm 1918 men istarn kep of sauth afrika ke ak chote se ganva men hua.
Vo madiba kabile se the aur dakshin afrika men unhe aksar unke kabile ke nam yani madiba kahakar bulaya jata tha.
Unke kabile ne unka nam rolihalahal dalibhanga rakha tha lekin unke school ke ak shikshak ne unka angreji nam nelsan rakha.
Unke pita thenbu raj parivar men salahkar the aur jab unki mrityu hui to nelsan mandela 9 varsh ke the.
Unka bachpan thenbu kabile ke mukhiya jongintaba dalindayabo ki dekhrekh men bita.
Vo 1943 men afrika naishnal kangresh se jude pahle ak karyakarta ke taor par aur fir uski yuva shakha ke sansthapak aur adhyaksh ke taor par.
Aur fir varshon tak jel men band rahane ke bad vo afriki naishnal kangresh ke adhyaksh bhi bane !!!!!
Rangbhed Ke Khilaph Ladne Vale Nelson Mandela Nahin Rahe
No comments:
Post a Comment