Apne Computer Ko Dusaron Se Surakshit Rakhne Ke Upay

Tuesday, 3 December 2013

Aksar aap chahte hai ki aapke parsanal computer ya laiptop ko koi dusara hath na lagaye. computer-tips-and-tricks-529c72a62e9fb_exlIske liye aap har samay apne computer ya laiptop ke pass bhi nahin baith sakte hain.


Aese men ap apne computer ko password lock ke jariye surakshit rakh sakte hai. computer password lock banana koi muskil ki bat nahin hai.


Ager ap windoj computer istemal kar rahe hai to nimn spet ko pura karke ap computer password bana sakte hai.


1.  Sabse pahle start batan par click kare yahan apko dayen oar control panel ka opsan dikhai deta hai.


Ager control panel dikhai nahi deta hai to aap isko sarch opsan men ja kar khoj bhi sakte hai.


2. Control panel men jane ke bad user account and family safety par click kare.


3. Yahan aapke samne user account vikalp dikhai dega. is par click kare.


4. User account par click karte hi aapke samne change password , Remove password , change your account picture aur change your account name opsan dikhai dete hai.


5. Change password par click kare . Iske bad aapke samne password banane ka opsan khul jata hai. yahan ap apna password bana sakte hai !!!!


 



Apne Computer Ko Dusaron Se Surakshit Rakhne Ke Upay

No comments:

Post a Comment

 

Pages

Most Reading