Delhi vidhansabha ki 70 siton ke liye budhvar subah 8 baje se matdan suru ho gaya. Nishpaksha aur shantipurna matdan ke liye kadi suraksha vyavastha ki gai hai.
Is bar chunav men kul 810 pratyashi apni kismat aajma rahe hai. chunav men kangresh aur bhajpa ke alava aam aadami parti ne mukable ko trikoniya bana diya hai .
Tino ki partiyon ke apne -apne daven hai. Tino khud ko satta ke davedar bta rahi hai lekin matdata aaj sham tak inki kismat ko EVM men band kar denge.
Matdata ke liye 11,993 poling stesion banaye gaye hai. jiske liye 12 hajar pitthasin adhikari niyukt kiye gaye hai.
Chunav ke daoran kisi prakar ki gadbadi ko rokne ke liye suraksha aur police bal ka pukhta intijam kiya gaya hai. police ke 32,801 karmi tainat kiye gaye hai.
Ardh sainik balon ki 107 companiyan aur home gard ke 11,842 javan suraksha prabandh men madad denge iske alava matdan ke liye 47,972 karmachariyon ko tainat kiya gaya hai.
Har do ghante par matdan pratisat ki jankari lene ke liye parampragat aur aadhunik dono tarikon ka estemal kiya jayega chhetriya adhikari har do ghante men matdan pratishat ki kendriya kaksha ko jankari denge.
Iske alava har do ghante bad pitthasin adhikari SMS ke madhyam se riport denge titthasin adhikariyon ke mobail numbar ka data tayar kiya ja chuka hai.
Delhi ke mukhya chunav adhikari vijay dev ne sanvadata sammelan men taiyariyan ki jankari di. unhone bataya ki matdataon ko jagruk karne aur unhe matdan kendra tak lane ke liye chalayen gaye abhiyan se ummid hai ki is bar matdan pratishat men kafi ijapha hoga. pichle vidhansabha chunav men delhi men 58 pratishat matdan hua tha .
Kiske sir jayega delhi ka taj iska phaisala 8 disambar ko matgana ke bad ho jayega!!!!!
Delhi : Vidhan Sabha Ki 70 Siton Ke Liye Matdan Jari
No comments:
Post a Comment