Bharat Chupchap Badha Raha Hai Parmanu Takat

Thursday, 5 December 2013

Ek ameriki think taink ne kaha hai ki bharat ke sanbhavath ek naye gupt sayantra ka agni-missile-523544b2b9ffd_exlnirman kiya hai jisse uske ureniyam sanvardhan karne ki chhamta kafi bad jayegi.


Parmanu aprasar par kam karne vali sanstha institute far scince and internaitional sikyority ne apne riport men kaha hai ki saitilaite tasviron ke jariye unhe pta chla hai ki bharat men maisur ke pass gaise sentrifyuj sayantra ka nirman lagbhag pura kar chuka hai.


Is riport ko likhne vale devid aanlbraid ne BBC ko bataya ki is naye sayantra se parmanu hathiyaron men istemal hone vale yureniyam banane ki jo bharat ki chhamta hai vo kafi bad jayegi.


Is riport ke anusar bharat ne 2010 men maisur ke pass dusra sentrifiyuj plant banana suru kiya aur aprel men li gai saitelight tasviron se ye lagta hai ki iske banane ka kam pura ho gaya hai.


Aanlbrait ne bataya ki ye ispast nahi ho paya hai ki ye pahle se maojud plant ki jagah lega ya fir ye atirikt sayantra hoga.


Unka kahna tha agar ye ek naya sayantra hai to fir yureniyam savanrdhan karne ki bharat ki jo chhamta hai vo doguni ho jayegi aur bharat pahle se kahin jyada takatvar parmanu hathiyar banane ki kabiliyat hasil kar lega.


Bharat ki pushti nahin


Aanlbrait ka ye bhi kahna tha ki unhone sanbhvtah shabd ka istemal isliye kiya hai kyoki bharat sarkar ne abhi tak iski pushti nahi ki hai.


Unka kahna tha jahan tak hume pta hai ki unke pass yureniyam sanvardhan plant maojud hai.


Unka kahna tha ki ye yureniyam sanvardhan bharat aur pakistan ke  bhich  parmanu hathiyar banane ki badti hui hod ka pratik hai.


Bharat ne 1998 men parmanu parikshan kiya tha aur uske faoran bad pakistan ne bhi apni parmanu takat ka ijhar kiya.


Bharat ne fir 2008 men amrika ke sath parmanu samjhaota par dastkhat kiye jisme kaha gaya hai ki duniya ka sabse bada loktantra ek jimmedar parmanu shakti hai.


Lekin bharat ne parmanu aprasar sandhi par dastkhat nahin kiye hai aur vo apne parmanu sayantro ka antarastriya nirikshan karvane ke liye badhya nahi hai.


Aanlbrait ka kahna tha ki is naye sayantra se bharat ne amerika ke sath huye parmanu samjhote ka ullanghan to nahin kiya hai lekin iske liye jis tarah ke upkarno ki jarurat thi vo antarrastriya bajar se avaidh tarike se kharide gaye hai.


Unka kahna tha ki agar bharat apni urja jaruraton ke liye sanvardhan kar raha hai to vo is sayantra ko antarastriya nirikshan ke dayare men le aaye aur usse vo vaidh tarike se apni jarurat ki chijen kharid sakega !!!!!!



Bharat Chupchap Badha Raha Hai Parmanu Takat

No comments:

Post a Comment

 

Pages

Most Reading